Best Blogger Tips

Thursday, August 25, 2011

Jab Hum Chote Bache the....

Best Blogger Tips

Aaj jab bajar me,
Maa-baap se jidd kart ek bachche ko dekha,
To yaad aae wo anginat lamhe,
Jab hum bhi shaitaniyan atkheliyan karte the,
Jab fikr naa thi koi, chintaen koso dur thi,
Jab hum bhi jidd kar maa-baap se jhagadte the.

Yaad aae aaj wo pal,
Jab dada ji ke chashme almari me chupate the,
Tyohaar ka jab bhi mausam aata tha,
Badi mehnat se mithaai churate the,
Aur phir kone me jakar chup-chup ke khate the.

Aaj wo din yaad aae,
Jab soti bahna ko dara ke uthate the,
Chup-chup ke uski saari baatein suna karte the,

Aaj wo baatein yaad aai,
Jab gali me hum sab  khelte the,
Ghar-ghar ke khel me, gudde guddiya ka byah rachate the,
Jhoolon ke liye aapas me ladte the,
Ek-dusre se kabhi roothte to kabhi manaate the,
Jaanbhuj ke pani ke gaddhe me chalang lagate the.

Aaj wo lamhe yaad aae,
Jab sabko satate the, ullu banate the,
School na jaane ke liye tikdam lagate the,
Kabhi sir to kabhi pet dard ka bahana banate the,
Aur jab kabhi aati thi humari shikayat, maa ke aanchal me jaa ke chup jaate the.

Sochte sochte kab aankh chalak aae, ye malum na pada,
Kab savere se sanjh ghir aae, ye pata na chala.
Duniya ki raftaar me itna doob gaya insaan,
Ki wo bachpan, kisi unkhuli kitab ki terah kahin kho gaya.
Waqt ke sath jaise ret ki tah jam jati hai aaine pe,
Usi terah se dhumil ho gaya hai wo bachpan.

0 comments:

To Use A Smiley In Your Comment, Simply Add The Characters Beside Your Choosen Smiley To The Comment:
:)) ;)) ;;) :D ;) :p :(( :) :( :X =(( :-o :-/ :-* :| 8-} :)] ~x( :-t b-( :-L x( =)) Grab Smily Gadget

Post a Comment

Twitter Bird Gadget